Pawan Kumar

aashna ho kar bhi usne mujhko pahchana na tha

Pawan Kumar

āshnā ho kar bhī us ne mujh ko pahchānā na thā
us ke is bartāv kā kuchh mujh ko andāza na thā
aise ik tapte safar kī dāstāñ thī zindagī
dhuup thī saa.e meñ lekin dhuup meñ saaya na thā
kyā kahūñ tujh se bichhaḌ kar zindagī kaise kaTī
harkateñ kartī thī sāñseñ aur maiñ zinda na thā
gir gayā kyuuñ yak-ba-yak taarā zamīñ par TuuT kar
āsmāñ dekhā thā maiñ ne aur kuchh māñgā na thā
ham-zabāñ sab the nadārat bhiiḌ ke us shahr meñ
gird mere buildingeñ thī koī ham-sāya na thā
phir bhī us rishte ko maiñ ne TuuT kar chāhā 'pavan'
vo ki jis rishte se merā koī bhī naata na thā
Top Urdushayar.com