Pawan Kumar

suni har baat apne rahnuma ki

Pawan Kumar

sunī har baat apne rahnumā kī
yahī ik bhuul ham ne bār-hā kī
huī jo zindagī se ittifāqan
vahī bhuul us ne phir ik martaba kī
mujhī meñ gūñjtī haiñ sab sadā.eñ
magar phir bhī hai ḳhāmoshī balā kī
har ik kirdār meñ Dhalne kī chāhat
matānat dekhiye bahrūpiyā kī
azal ke peshtar bhī kuchh to hogā
kahāñ phir had milegī ibtidā kī
talātum haiñ mire merī haiñ lahreñ
mujhe kyuuñ justujū ho nāḳhudā kī
hamāre saath ho kar bhī nahīñ hai
shikāyat kyā kareñ us gum-shuda kī
har ik aahaT tirī aamad kā dhoka
kabhī to laaj rakh le is ḳhatā kī
sarāpā haa.e us nāzuk badan kā
koī tasvīr jaise apsarā kī
Top Urdushayar.com