kisī surāġh se kamre meñ nuur utregā
zarūr añdheroñ kā ik din ġhurūr utregā
ḳhafā hai mujh se to us ko ḳhafā hī rahne do
milūñgā us se to ġhussa zarūr utregā
patā chalegā tabhī kyā gañvā diyā tum ne
tumhāre sar se jab us kā fitūr utregā
bas intizār meñ rah jā.egī vo shahzādī
uḌan-khaTolā kahīñ jā ke duur utregā
chamak uThegā ye paanī bhī chāñdnī kī tarah
ye chāñd dariyā meñ jab chūr-chūr utregā
kiye pe apne tū pachhtā.egā ba-har-sūrat
kharā kasauTī pe jab be-qusūr utregā