Yaqoob Aamir

na puchho zist-fasana tamam hone tak

Yaqoob Aamir

na pūchho zīst-fasāna tamām hone tak
duāoñ tak thī sahar aur shaam rone tak
mujhe bhī ḳhud na thā ehsās apne hone kā
tirī nigāh meñ apnā maqām khone tak
har ek shaḳhs hai jab gosht nochne vaalā
bachegā kaun yahāñ nek-nām hone tak
chahār samt se rahzan kuchh is tarah TuuTe
ki jaise fasl kā thā ehtimām bone tak
batā rahā hai abhī tak tirā dhulā dāman
ki daaġh bhī haiñ numāyāñ tamām dhone tak
hazār rañg-e-tamannā hazār pachhtāve
ajab thā zehn meñ ik izhdihām sone tak
sunā hai ham ne bhī āzād thā kabhī 'āmir'
kisī kī chaah kā lekin ġhulām hone tak
Top Urdushayar.com