Pawan Kumar

dhup mein nahae the raushni ke pahre the

Pawan Kumar

dhuup meñ nahā.e the raushnī ke pahre the
phir bhī un daraḳhtoñ ke saa.e kitne gahre the
dekhtā rahā mujh ko aa.ina bhī hairat se
aaj mere chehre meñ jazb kitne chehre the
in dinoñ to ḳhushiyoñ ke rañg bhī haiñ afsurda
un dinoñ udāsī ke rañg bhī sunahre the
vaqt-e-qatl chīḳhā maiñ koī kuchh nahīñ bolā
log merī bastī ke gūñge aur bahre the
maiñ vo ek shāhzāda jis kī ik havelī thī
aur us havelī ke chaar samt pahre the
vaqt ne badan apnā kar diyā hai shal varna
ham bhī terī umroñ meñ shaad the chharhare the
ishq vo laḌakpan kā kyā hī lutf detā thā
shab-barāt thiiñ rāteñ aur din dashahre the
aap jis ilāqe meñ ek pal na rah paa.e
ham usī ilāqe meñ ek umr Thahre the
Top Urdushayar.com