kahīñ dariyā nahīñ hotā kahīñ sahrā nahīñ hotā
zarūrat par hamārī koī bhī apnā nahīñ hotā
kahānī ḳhatm ho jaatī koī sadma nahīñ hotā
bichhaḌte vaqt vo chhup kar agar royā nahīñ hotā
batāo kaun sī shai kī kamī hai mere paikar meñ
mujhe samjhāo merā aks kyuuñ samjhā nahīñ hotā
tumhārī yaad ke saa.e meñ yuuñ har-vaqt rahtā huuñ
maiñ tanhā rah bhī jā.ūñ to kabhī tanhā nahīñ hotā
mohabbat meñ yahī nazārgī to lutf detī hai
koī khiḌkī nahīñ hotī koī parda nahīñ hotā
tasallī aur dilāse sab ke sab be-kār jaate haiñ
na jaane kis tarah bikhrā huuñ maiñ yakjā nahīñ hotā
use tum dhuup meñ barsāt meñ kohre meñ rakh dekho
'pavan' vo aa.ina hai jo kabhī dhuñdhlā nahīñ hotā