thā barf ātish meñ Dhal rahā hai
vo ḳhud ko yaksar badal rahā hai
kisī ne Dhāle haiñ mom ke but
kisī kā sūraj pighal rahā hai
abhī zamīñ par giregā Tap se
bahut ziyāda uchhal rahā hai
na.ī ibārat likhegā shāyad
vo dā.ere se nikal rahā hai
añdhere phir haath mal rahe haiñ
phir ek jugnū sambhal rahā hai
bujhā samundar kī pyaas yā-rab
ye kitnī nadiyāñ nigal rahā hai
jo chāñd rahtā thā āsmāñ meñ
sunā hai chhat par Tahal rahā hai