rafta rafta dard-e-dil yuuñ kam ho jaatā hai
merā ġham us kī ḳhushiyoñ meñ zam ho jaatā hai
sāñsoñ kā sāñsoñ se jab sañgam ho jaatā hai
resha resha ruuh kā tab resham ho jaatā hai
koī kashish hai us kī bātoñ meñ bartāo meñ
us ke aage har chehra mub.ham ho jaatā hai
yahī soch kar tum dil kī rakhvālī karnā dost
kaḌī dhuup meñ ye kāġhaz bhī nam ho jaatā hai
jaane kaise merā qad auroñ kī nazroñ meñ
kabhī ziyāda aur kabhī kuchh kam ho jaatā hai
saath nibhāne kī Thānī hai to ye bhī sun lo
in rāhoñ meñ saaya bhī barham ho jaatā hai
jism thakā-māñda ho lekin ghar tak aate hī
ik ma.asūm hañsī se tāza-dam ho jaatā hai