Pawan Kumar

kahin to intiha bhi ho kisi ke intizar ki

Pawan Kumar

kahīñ to intihā bhī ho kisī ke intizār kī
jiyeñge aur kab talak ye zindagī udhār kī
milegī fat.h yā shikast vaqt hī batā.egā
maiñ laḌ rahā huuñ zindagī se jañg ār-pār kī
bhaTak rahe the muddatoñ se ham bhī jism-o-jāñ liye
use bhī ek umr se talāsh thī shikār kī
samajh sake na ham kabhī kisī kī be-yaqīniyāñ
bharī huī thī aañkh meñ to dhuul e'tibār kī
junūñ havā taḌap huī ḳhalish huī ki ġham huā
ye daulateñ haiñ ishq kī ye ne.amateñ hai pyaar kī
qadam mire jam hue haiñ ek hī maqām par
vo khīñch kar chalā gayā lakīr yuuñ hisār kī
use kisī kī tarah kyuuñ batā rahe ho ai 'pavan'
misāl DhūñDte ho kyuuñ ḳhudā ke shāhkār kī
Top Urdushayar.com