kyā nazar aa.egā nāzir mere
zaḳhm ġhā.eb haiñ ba-zāhir mere
phir mujhe dost mile patthar ke
aa.ine TuuT ga.e phir mere
in meñ kis ko nazar-andāz karūñ
sāmne haiñ jo manāzir mere
dushmanoñ se mujhe pahchān milī
kaam aa.e vahī āḳhir mere
ishq kī raah meñ ḳhatre haiñ bahut
soch lenā ye musāfir mere
dard siine meñ jo poshīda the
ashk vo kar ga.e zāhir mere
likhne baiThā hai kahānī merī
thak na jaa.e tū muharrir mere