kisī ke hijr meñ qurbān raat karte hue
kaTā hai vaqt sitāroñ se baat karte hue
vo kyā Daregā na.ī vārdāt karte hue
hameñ guzarnā hai ḳhud ehtiyāt karte hue
kisī ke ḳhvāb uThā.e kisī kī āñkhoñ ne
kisī ko dekhā hai palkoñ ko haath karte hue
ye rāh-e-ishq hai is meñ balā kī phislan hai
sambhal sambhal ke chalo ehtiyāt karte hue
batā.ūñ kyā ki maiñ pahuñchā huuñ kis tarah tum tak
nā-mumkināt ko bhī mumkināt karte hue
vo ek chāñd ki jis ko zamīñ pe laanā hai
nikal rahā huuñ maiñ galiyoñ meñ raat karte hue
mubāhisoñ se bahut tañg aa gayā hai 'pavan'
sunā de ab tū sazā iltifāt karte hue