nazroñ meñ kahāñ us kī vo pahlā sā rahā maiñ
hañstā huuñ ki kyā soch ke kartā thā vafā maiñ
tū kaun hai ai zehn kī dastak ye batā de
har baar kī āvāz pe detā huuñ sadā maiñ
yaad aatā hai bachpan meñ bhī ustād ne mere
jis raah se rokā thā vahī raah chalā maiñ
jī ḳhush huā dekhe se ki āzād fazā hai
bastī se guzartā huā sahrā meñ rukā maiñ
muddat huī dekhe hue vo shahr-e-nigārāñ
ai dil kahīñ bhūlā to nahīñ terī adā maiñ
manzil kī talab meñ na thā āsān guzarnā
patthar the bahut raah meñ gir gir ke uThā maiñ
kyā din haiñ ki ab maut kī ḳhvāhish hai barābar
kyā din the ki jab jiine kī kartā thā duā maiñ
sach kahiyo ki vāqif ho mire haal se 'āmir'
duniyā hai ḳhafā mujh se ki duniyā se ḳhafā maiñ