Pawan Kumar

dard dab jae kisi taur na aansu aae

Pawan Kumar

dard dab jaa.e kisī taur na aañsū aa.e
jazba-e-dil pe batā kis tarah qaabū aa.e
tīrgī in ko miTāne pe kamar-basta thī
phir bhī jañgal meñ chamakte hue jugnū aa.e
dil ke sahrā meñ bahut tej kulāñche bharte
shaam hote hī tirī yādoñ ke aahū aa.e
tere ehsās meñ Dūbūñ to mahak jaa.e dimāġh
tujh ko sochūñ to mire jism meñ ḳhushbū aa.e
ai ḳhudā ḳhair salāmat rahe gardan merī
mere kāñdhe pe phir ik shaḳhs ke baazū aa.e
kuchh to ho aisā mire dost ki ye raat kaTe
chain bīmār ke dil ko kisī pahlū aa.e
Top Urdushayar.com