vo lamha jis se rañg-e-zindagī nikhrā huā sā
kabhī Thahrā huā hai to kabhī guzrā huā sā
bahā kar le gayā sailāb meñ jo raat kyā kyā
vo dariyā lag rahā hai din meñ kuchh utrā huā sā
mirī pahchān vo pūchhe to kaise maiñ batā.ūñ
maiñ apne-āp meñ simTā huuñ par bikhrā huā sā
kahīñ be-rañg sī tasvīr hai kyuuñ ai musavvir
kahīñ tasvīr kā har naqsh hai ubhrā huā sā
yaqīnan der tak tum ko hī dekhā hogā us ne
tabhī to aaj darpan bhī hai kuchh sañvarā huā sā