kisī ne rakkhā hai bāzār meñ sajā ke mujhe
koī ḳharīd le qīmat mirī chukā ke mujhe
usī kī yaad ke bartan banā.e jaatā huuñ
vahī jo chhoḌ gayā chaak par ghumā ke mujhe
hai mere lafzoñ ko mujh se munāsibat kitnī
maiñ kaisā naġhma huuñ pahchān gungunā ke mujhe
maiñ aisī shāḳh huuñ jis par na phūl-patte haiñ
tū dekh letā kabhī kaash muskurā ke mujhe
kaḌī hai dhuup to sūraj se kyā gilā kiije
yahāñ to chāñd bhī pesh aayā tamtamā ke mujhe
use bhī vaqt kabhī aa.ina dikhā.egā
vo aaj ḳhush hai bahut aa.ina dikhā ke mujhe
qasīde paḌhtā huuñ maiñ us kī dil-navāzī ke
jalīl kartā hai aksar jo ghar bulā ke mujhe