har ik salīb-o-dār kā nazzāra ham hue
har ek ke gunāh kā kaffāra ham hue
aa.ī jo bhūrī shaam sulagne lagā badan
bhīgī jo kaalī raat to añgārā ham hue
miTTī meñ mil ga.e to khilā.e gunāh gul
uble to apne ḳhuun kā favvāra ham hue
samjhā thā vo ki ḳhaak meñ ham ko milā diyā
paidā isī zamīn se dobāra ham hue
har ek chobdār ne khīñchī hamārī khaal
har daur ke julūs kā naqqārā ham hue
jin ajnabī ḳhalāoñ se vāqif nahīñ koī
'muztar' unhīñ ḳhalāoñ kā sayyāra ham hue