ġhauġhā-e-pand go na rahā nauhagar rahā
hañgāma ik na ik mire bālīn par rahā
e.ajāz-e-dil-farebī-e-andāz dekhnā
har har adā pe mujh ko gumān-e-nazar rahā
qāsid bhī koī sabr-e-dil-e-nā-shakeb thā
aate hī aate raah meñ kam-baḳht mar rahā
parhez-e-ishq se mujhe vahshat fuzūñ huī to
maiñ kuchh davā se aur bhī ranjūr-tar rahā
hai pā-e-harza-nāz meñ kyā gardish-e-nasīb
do din na chain se sar-e-shorīda-sar rahā
uTh uTh ke saath saath mire thak ke rah gayā
maiñ kuchh tapish meñ dard se betāb-tar rahā