ik ḳhalā sā hai jidhar dekho idhar kuchh bhī nahīñ
āsmāñ kaun-o-makāñ dīvār-o-dar kuchh bhī nahīñ
baḌhtā jaatā hai añdherā jaise jaadū ho koī
koī paḌh liije duā lekin asar kuchh bhī nahīñ
jism par hai kaun se ifrīt kā saaya savār
bhāgtā hai sar se dhaḌ jaise ki sar kuchh bhī nahīñ
har nayā rasta nikaltā hai jo manzil ke liye
ham se kahtā hai purānī rahguzar kuchh bhī nahīñ
ehtimām-e-zindagī se haiñ ye sab naqsh o nigār
varna ghar kuchh bhī nahīñ dīvār-o-dar kuchh bhī nahīñ
ghar meñ apne saath jab rakkhoge 'āmir' dekhnā
jis ko tum kahte ho ab rashk-e-qamar kuchh bhī nahīñ