butoñ se bach ke chalne par bhī aafat aa hī jaatī hai
ye kāfir vo qayāmat haiñ tabī.at aa hī jaatī hai
ye sab kahne kī bāteñ haiñ ham un ko chhoḌ baiTheñ haiñ
jab āñkheñ chaar hotī haiñ muravvat aa hī jaatī hai
vo apnī shoḳhiyoñ se koī ab tak ba.az aate haiñ
hamesha kuchh na kuchh dil meñ sharārat aa hī jaatī hai
hamesha ahd hote haiñ nahīñ milne ke ab un se
vo jab aa kar lipaTte haiñ mohabbat aa hī jaatī hai
kahīñ ārām se do din falak rahne nahīñ detā
hamesha ik na ik sar par musībat aa hī jaatī hai
mohabbat dil meñ dushman kī bhī apnā rañg laatī hai
vo kitne be-muravvat hoñ muravvat aa hī jaatī hai
'zahīr'-e-ḳhasta-jāñ shab so rahā kuchh khā ke sunte haiñ
ta.ajjub kyā hai insāñ ko hamiyyat aa hī jaatī hai