Zaheer Dehlvi

abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
abhī se aa ga.iiñ nām-e-ḳhudā haiñ shoḳhiyāñ kyā-kyā
mirī taqdīr ban ban kar badaltī hai zabāñ kyā-kyā
mujhe gardish meñ rakhtī hai nigāh-e-dil-sitāñ kyā-kyā
mirī qismat dikhātī hai mujhe nairañgiyāñ kyā-kyā
nigāhoñ meñ hayā hai aur hayā meñ hai nihāñ kyā-kyā
tabī.at meñ basī haiñ ḳhair se rañgīniyāñ kyā-kyā
faqat ik sādgī par shoḳhiyoñ ke haiñ gumāñ kyā-kyā
adā-e-ḳhāmushī meñ bhar diyā rañg-e-bayāñ kyā-kyā
dil-e-ḳhūñ-gashta-e-hasrat ne kyā kuchh gul khilā.e haiñ
bahār-āgīñ hai kuchh ab kī baras fasl-e-ḳhizāñ kyā-kyā
nigāheñ bad-gumānī se kahāñ jā-jā ke laḌtī haiñ
mirī āñkhoñ meñ haiñ dushman kī bazm-ārā.īyāñ kyā-kyā
tasavvur meñ visāl-e-yār ke sāmān hote haiñ
hameñ bhī yaad haiñ hasrat kī bazm-ārā.īyāñ kyā-kyā
abhī se ban ga.ī mushkil abhī to duur hai manzil
mujhe rusvā kareñgī dekhiye betābiyāñ kyā-kyā
vo jitne duur khiñchte haiñ ta.alluq aur baḌhtā hai
nazar se vo jo pinhāñ haiñ to dil meñ haiñ ayaañ kyā-kyā
Top Urdushayar.com