milne kā nahīñ rizq-e-muqaddar se sivā aur
kyā ghar meñ ḳhudā aur hai ġhurbat meñ ḳhudā aur
tum sāmne aate ho to chhupte ho sivā aur
parde kī hayā aur hai āñkhoñ kī hayā aur
kuchh aag lagā.egā na.ī shola-e-ruḳhsār
kuchh rañg dikhā.egā tirā rañg-e-hinā aur
insān vo kyā jis ko na ho paas zabāñ kā
ye koī tarīqa hai kahā aur kiyā aur
aa pahuñche haiñ manzil kī navāhī meñ 'zahīr' ab
haañ pā-e-talab hāriyo himmat na zarā aur