Zaheer Dehlvi

phaTa paDta hai joban aur josh-e-nau-jawani hai

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
phaTā paḌtā hai joban aur josh-e-nau-javānī hai
vo ab to ḳhud-ba-ḳhud jaame se bāhar hote jaate haiñ
nazar hotī hai jitnī un ko apne husn-e-sūrat par
sitamgar be-muravvat kīna-parvar hote jaate haiñ
bhalā is husn-e-zebā.ī kā un ke kyā Thikānā hai
ki jitne aib haiñ duniyā meñ zevar hote jaate haiñ
abhī hai taaza taaza shauq-e-ḳhud-bīnī abhī kyā hai
abhī vo ḳhair se naḳhvat ke ḳhūgar hote jaate haiñ
vo yuuñ bhī māh-e-tal.at haiñ magar shoḳhī qayāmat hai
ki jitne bad-maza hote haiñ ḳhush-tar hote jaate haiñ
Top Urdushayar.com