jahāñ meñ kaun kah saktā hai tum ko bevafā tum ho
ye thoḌī vaz.a-dārī hai ki dushman-āshnā tum ho
tabāhī sāmne maujūd hai gar āshnā tum ho
ḳhudā hāfiz hai us kashtī kā jis ke nāḳhudā tum ho
jafā-jū be-muravvat bevafā nā-āshnā tum ho
magar itnī burā.ī par bhī kitne ḳhush-numā tum ho
bharosā ġhair ko hogā tumhārī āshnā.ī kā
tum apnī zid pe aa jaao to kis ke āshnā tum ho
koī dil-shād hotā hai koī nāshād hotā hai
kisī ke mudda.ī tum ho kisī kā mudda.ā tum ho
'zahīr' us kā nahīñ shikva na kī gar qadr gardūñ ne
zamāna jāntā hai tum ko jaise ḳhush-navā tum ho