Zaheer Dehlvi

kufr mein bhi hum rahe qismat se iman ki taraf

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
kufr meñ bhī ham rahe qismat se īmāñ kī taraf
shukr hai kaaba bhī niklā kū-e-jānāñ kī taraf
kuchh asīrān-e-qafas ke baḳht hī bargashta haiñ
bū-e-gul phir phir ga.ī ulTī gulistāñ kī taraf
dekhte mar kar kisī par lutf-e-umr-e-jāvidāñ
kyuuñ ga.e ḳhizr o sikandar āb-e-haivāñ kī taraf
dekhiye kyā gul khilā.e fasl-e-gul aatī to hai
haath abhī se dauḌte haiñ jaib o dāmāñ kī taraf
rashk kahtā hai ki poñchhe hoñge us se ashk-e-ġhair
haath uTh kar rah gayā sau baar dāmāñ kī taraf
Top Urdushayar.com