ishq aur ishq-e-sho.ala-var kī aag
aag aur ulfat-e-bashar kī aag
jis ko kahte haiñ barq-e-ālam-soz
hai vo kāfir tirī nazar kī aag
hā.e-re terī garmi-e-raftār
ḳhaak tak bhī hai rahguzar kī aag
lo shab-e-vasl bhī tamām huī
āsmāñ ko lagī sahar kī aag
ishq kyā shai hai husn hai kyā chiiz
kuchh idhar kī hai kuchh udhar kī aag
tūr-e-sīnā banā diyā dil ko
uf-re kāfir tirī nazar kī aag
haqq-ta.ālā bachā.e is se 'zahīr'
qahr hai ulfat-e-bashar kī aag