paan ban ban ke mirī jaan kahāñ jaate haiñ
ye mire qatl ke sāmān kahāñ jaate haiñ
sar agar jaa.e to jaa.e magar ai ḳhanjar-e-yār
sar se apne tire ehsān kahāñ jaate haiñ
ba.ad marne ke bhī miTTī mirī barbād rahī
mirī taqdīr ke nuqsān kahāñ jaate haiñ
haal khultā nahīñ in ḳhvesh-farāmoshoñ kā
roz ke roz ye mehmān kahāñ jaate haiñ
kis kī āshufta-mizājī kā ḳhayāl aayā hai
aap hairān pareshān kahāñ jaate haiñ
aaj kis muñh se mirī dil-shikanī hotī hai
aaj vo aap ke mehmān kahāñ jaate haiñ
ai 'zahīr' ab ye khulā haal baḌī duur haiñ aap
aap jaate haiñ jahāñ dhyān kahāñ jaate haiñ