aise kī mohabbat ko mohabbat na kaheñge
is aam ināyat ko ināyat na kaheñge
kahiye to kahūñ anjuman-e-ġhair ko rūdād
kyā ab bhī ise aap karāmat na kaheñge
samjheñge na aġhyār ko aġhyār kahāñ tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheñge
jab arbada-jū tum ho to kyuuñ sabr sameTeñ
ham is meñ raqīboñ kī sharārat na kaheñge
hai yaad 'zahīr' un kā shab-e-vasl bigaḌnā
vo talḳhī-e-dushnām kī lazzat na kaheñge