Zaheer Dehlvi

harif-e-raaz hain ai be-KHabar dar-o-diwar

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
harīf-e-rāz haiñ ai be-ḳhabar dar-o-dīvār
ki gosh rakhte haiñ sab sar-ba-sar dar-o-dīvār
naved-e-maqdam-e-fasl-e-bahār sun sun kar
uḌeñge shauq meñ be-bāl-o-par dar-o-dīvār
shab-e-firāq meñ ghar mujh ko kaaTe khātā hai
banā hai ik sag-e-dīvāna har dar-o-dīvār
tumhāre ġham ne vo sūrat mirī banā.ī hai
ki ro rahe haiñ mire haal par dar-o-dīvār
hujūm-e-rañj-e-qalaq meñ 'zahīr' kyā kahiye
nahīñ haiñ mūnis-e-ḳhalvat magar dar-o-dīvār
Top Urdushayar.com