rañj rāhat-asar na ho jaa.e
dard kā dil meñ ghar na ho jaa.e
muñh chhupānā paḌe na dushman se
ai shab-e-ġham sahar na ho jaa.e
kufr manzūr hai mujhe dil se
vo musalmān agar na ho jaa.e
haath uljhā rahe garebāñ meñ
chaak dāman udhar na ho jaa.e
hai 'zahīr' ek mard-e-sanjīda
haañ jo āshufta-sar na ho jaa.e