dil ko āzār lagā vo ki chhupā bhī na sakūñ
parda vo aa ke paḌā hai ki uThā bhī na sakūñ
mudda.ā sāmne un ke nahīñ aatā lab tak
baat bhī kyā ġham-e-dil hai ki sunā bhī na sakūñ
be-jagah aañkh laḌī dekhiye kyā hotā hai
aap jā bhī na sakūñ un ko bulā bhī na sakūñ
vo dam-e-naz.a mire bahar-ayādat aa.e
haal kab pūchhte haiñ jab ki sunā bhī na sakūñ
zindagī bhī shab-e-hijrāñ hai ki kaTtī hī nahīñ
maut hai kyā tirā aanā ki bulā bhī na sakūñ
dam hai āñkhoñ meñ ise jaan meñ lā.ūñ kyūñkar
kab vo aa.e ki unheñ haath lagā bhī na sakūñ
sharm-e-isyāñ ne jhukāyā mirī gardan ko 'zahīr'
bojh vo aa ke paḌā hai ki uThā bhī na sakūñ