agarche haal o havādis kī hukmarānī hai
har ek shaḳhs kī apnī bhī ik kahānī hai
maiñ aaj kal ke tasavvur se shād-kām to huuñ
ye aur baat ki do pal kī zindagānī hai
nishān raah ke dekhe to ye ḳhayāl aayā
mirā qadam bhī kisī ke liye nishānī hai
ḳhizāñ nahīñ hai ba-juz ik taraddud-e-bejā
chaman khilāo agar zauq-e-bāġhbānī hai
kabhī na haal huā merā tere hasb-e-mizāj
na samjhā tū ki yahī terī bad-gumānī hai
na samjhe ashk-fishānī ko koī māyūsī
hai dil meñ aag agar aañkh meñ bhī paanī hai
milā to un kā milā saath ham ko ai 'āmir'
na dauḌnā hai jinheñ aur na choT khānī hai