kuchh na kuchh ranj vo de jaate haiñ aate jaate
chhoḌ jaate haiñ shagūfe koī jaate jaate
shauq ban ban ke mire dil meñ haiñ aate jaate
dard ban ban ke haiñ pahlū meñ samāte jaate
ḳhair se ġhair ke ghar roz haiñ aate jaate
aur qasmeñ bhī mire sar kī haiñ khāte jaate
haa.e milne se hai un ke mujhe jitnā eraaz
vo usī darja nazar meñ haiñ samāte jaate
nahīñ mālūm vahāñ dil meñ irāda kyā hai
vo jo is darja haiñ iḳhlās baḌhāte jaate
lo mire sāmne ġhairoñ ke gile hote haiñ
lutf meñ bhī to mujhī ko haiñ satāte jaate
aaj ruktī hai marīz-e-ġham-e-ulfat ko shifā
chārāgar dard bhī jā.egā to jaate jaate
yahī hamdam mujhe paiġhām-e-qazā dete haiñ
ye jo siine meñ dam-e-chand haiñ aate jaate
yuuñ hī āḳhir to huā naam azā kā badnām
aa.e the aa ke janāza bhī uThāte jaate