Zaheer Dehlvi

ham-nashin un ke taraf-dar bane baiThe hain

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
ham-nashīñ un ke taraf-dār bane baiThe haiñ
mere ġham-ḳhvār dil-āzār bane baiThe haiñ
baat kyā un se karūñ un ke uThā.ūñ kyūñ-kar
mudda.ī biich meñ dīvār bane baiThe haiñ
nā-tavānī ne udhar paañv pakaḌ rakkhe haiñ
vo nazākat se girāñ-bār bane baiThe haiñ
kyā burī shai hai mohabbat bhī ilāhī tauba
jurm-e-nā-karda ḳhatā-vār bane baiThe haiñ
bevafā.ī ke gile jin ke hue the kal tak
aaj duniyā ke vafādār bane baiThe haiñ
vo haiñ aur ġhair haiñ aur aish ke sāmān 'zahīr'
ham alag sab se gunahgār bane baiThe haiñ
Top Urdushayar.com