Zaheer Dehlvi

gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-KHun-fishan kya kya

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
gul-afshānī ke dam bhartī hai chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kyā kyā
hamāre zeb-e-dāman hai bahār-e-gulsitāñ kyā kyā
kashūd-e-matlab-e-āshiq ke haiñ lab par gumāñ kyā kyā
adā-e-ḳhāmushī meñ bhar diyā rañg-e-bayāñ kyā kyā
faqat ik sādgī par shoḳhiyoñ ke haiñ gumāñ kyā kyā
nigāh-e-sharmagīñ se hai nihāñ kyā kyā ayaañ kyā kyā
dil-e-ḳhūñ-gashta-e-hasrat ne kyā kuchh gul khilā.e haiñ
bahār-āgīñ hai kuchh ab kī baras fasl-e-ḳhizāñ kyā kiyā
junūñ se kam nahīñ hai kuchh hujūm-e-shādmānī bhī
havā-e-gul meñ hai jaame se bāhar bāġhbāñ kyā kyā
tasavvur meñ visāl-e-yār ke sāmān hote haiñ
hameñ bhī yaad haiñ hasrat kī bazm-ārā.iyāñ kyā kyā
chalī aatī hai itrā.ī huī kuchh kū-e-jānāñ se
basī hai rashk kī bū meñ nasīm-e-bostāñ kyā kyā
qadam rakhte nahīñ haiñ vo zamīñ par be-niyāzī se
baḌhā jaatā hai yaañ shauq-e-sujūd-e-āstāñ kyā kyā
'zahīr'-e-ḳhasta-jāñ sach hai mohabbat kuchh burī shai hai
majāzī meñ haqīqī ke hue haiñ imtihāñ kyā kyā
Top Urdushayar.com