Zaheer Dehlvi

hae kafir tere hamrah adu aata hai

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
haa.e kāfir tire hamrāh adū aatā hai
kyā kahūñ paas ye terā hai ki tū aatā hai
nik.hat-e-itr meñ bas-bas ke jo tū aatā hai
apne hamrāh liye rashk kī bū aatā hai
nā-tavānī se nahīñ āh-o-fuġhāñ kī tāqat
naala tham tham ke mirā ta-ba-gulū aatā hai
chauñk paḌtā huuñ shab-e-vāda tire dhoke meñ
har qadam par yahī khaTkā hai ki tū aatā hai
duḳhtar-e-raz ke qadam tak to rasā.ī mālūm
mohtasib sañg-e-dar-e-mai-kada chhū aatā hai
zaḳhm-e-dil par kabhī Tāñkā na lagāyā tum ne
ham to samjhe the tumheñ ḳhuub rafū aatā hai
Top Urdushayar.com