vo kisī se tum ko jo rabt thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo kisī pe thā koī mubtilā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī ham meñ tum meñ bhī pyaar thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī ham bhī tum bhī the ek-jā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo banānā chehra itaab kā vo na denā muñh se javāb kā
vo kisī kī minnat o iltijā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
tumheñ jis kī chaah pe naaz thā jo tumhārā mahram-e-rāz thā
maiñ vahī huuñ āshiq-e-bā-vafā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī ham meñ tum meñ bhī saaz the kabhī ham bhī vaqf-e-niyāz the
hameñ yaad thā so jatā diyā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī bolnā vo ḳhafā ḳhafā kabhī baiThnā vo judā judā
vo zamāna naaz o niyāz kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
abhī thoḌe din kā hai tazkira ki raqīb kahte the barmalā
mire aage tum ko burā-bhalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī hañs ke muñh ko chhupā liyā kabhī muskurā ke dikhā diyā
kabhī shoḳhiyāñ thiiñ kabhī hayā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jo banā hai ārif-e-bā-ḳhudā ye vahī 'zahīr' hai be-hayā
vo jo rind-e-ḳhāna-badosh thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho