vo nairañg-e-ulfat ko kyā jāntā hai
ki apne se mujh ko judā jāntā hai
kuchh aisī to dushman meñ ḳhūbī nahīñ hai
magar tū ḳhudā jaane kyā jāntā hai
ye muñh se to kahtā huuñ chhoḌī mohabbat
magar haal dil kā ḳhudā jāntā hai
tumhārī sharārat ko kyā jaane koī
ye maiñ jānūñ yā dil mirā jāntā hai
'zahīr' apne aiboñ ko maiñ jāntā huuñ
zamāna mujhe pārsā jāntā hai