haa.e us shoḳh kā andāz se aanā shab-e-vasl
aur rah rah ke vo ehsān jatānā shab-e-vasl
qahr hai zahr hai aġhyār ko laanā shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanā shab-e-vasl
duur kosoñ merī bālīñ se uḌī phirtī hai
kyā koī DhūñD liyā aur Thikānā shab-e-vasl
hāsil us zikr-e-taġhāful se guzasht āñche guzasht
fā.eda fitna-e-ḳhufta ko jagānā shab-e-vasl
ye lagāvaT to raqīboñ ke raqīboñ se rahe
ab kabhī aa ke mujhe muñh na dikhānā shab-e-vasl