nau-giraftār-e-qafas huuñ mujhe kuchh yaad nahīñ
lab pe shevan nahīñ naala nahīñ fariyād nahīñ
nāznīñ koī na.ī baat to paidā ho kabhī
zulm meñ lutf hī kyā hai agar ījād nahīñ
maiñ bashar huuñ mire milne meñ burā.ī kyā hai
aap kuchh huur nahīñ aap parī-zād nahīñ
vaa.e taqdīr ki jab ḳhūgar-e-āzār hue
vo ye farmāte haiñ ham mā.il-e-bedād nahīñ