Zaheer Dehlvi

wo jhuTa ishq hai jis mein fughan ho

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
vo jhūTā ishq hai jis meñ fuġhāñ ho
vo kachchī aag hai jis meñ dhuāñ ho
adū tum se tum un se bad-gumāñ ho
tumhāre vo tum un ke pāsbāñ ho
bhalā tum aur mujh par mehrbāñ ho
ināyat ye nasīb-e-dushmanāñ ho
mirā haal aur phir merā bayāñ ho
ajab kyā gar adū bhī ham-zabāñ ho
kaheñ kis se ḳhudī meñ tum kahāñ ho
gila jab ho ki qaabū meñ zabāñ ho
tumhārī be-ruḳhī shikve hamāre
qayāmat tak na puurī dāstāñ ho
zabāñ bahkī huī hairāñ nigāheñ
ḳhayāl-e-dil kahāñ hai tum kahāñ ho
maza jab aa.e un se guftugū kā
payāmī kā dahan merī zabāñ ho
kashīda kyuuñ na ho bāzār-e-yūsuf
ki jab tum sā matā-e-kārvāñ ho
kahūñ kyā rāz-e-dil kyuuñ kar ho bāvar
ki tum sā hī tumhārā rāz-dāñ ho
abhī se kis liye dil chhoḌ baiTheñ
jahāñ tak ho sake āh-o-fuġhāñ ho
Top Urdushayar.com