ye sab kahne kī bāteñ haiñ ham un ko chhoḌ baiThe haiñ
jab āñkheñ chaar hotī haiñ muravvat aa hī jaatī hai
vo apnī shoḳhiyoñ se koī ab tak baaz aate haiñ
hamesha kuchh na kuchh dil meñ sharārat aa hī jaatī hai
na uljho tān.a-e-dushman pe aisā ho hī jaatā hai
jahāñ iḳhlās hotā hai shikāyat aa hī jaatī hai
liyā jab naam ulfat kā badal jaatī hai sīrat bhī
nigāh-e-sharm-āgīñ meñ sharārat aa hī jaatī hai
kabhī chitvan se an-ban hai kabhī saudā hai gesū kā
nasīboñ kī ye shāmat hai ki shāmat aa hī jaatī hai
hamesha ahd hote haiñ nahīñ milne ke ab un se
vo jab aa kar lipaTte haiñ mohabbat aa hī jaatī hai
kahīñ ārām se do din falak rahne nahīñ detā
hamesha ik na ik sar par musībat aa hī jaatī hai
hisāb-e-dostāñ dar-e-dil taqāzā hai mohabbat kā
masal mash.hūr hai ulfat se ulfat aa hī jaatī hai