Zaheer Dehlvi

dil gaya dil ka nishan baqi raha

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911
dil gayā dil kā nishāñ baaqī rahā
dil kī jā dard-e-nihāñ baaqī rahā
kaun zer-e-āsmāñ baaqī rahā
nek-nāmoñ kā nishāñ baaqī rahā
ho liye duniyā ke puure kārobār
aur ik ḳhvāb-e-girāñ baaqī rahā
rafta rafta chal base dil ke makīñ
ab faqat ḳhālī makāñ baaqī rahā
chal diye sab chhoḌ kar ahl-e-jahāñ
aur rahne ko jahāñ baaqī rahā
kārvāñ manzil pe pahuñchā umr kā
ab ġhubār-e-kārvāñ baaqī rahā
mil ga.e miTTī meñ kyā kyā mah-jabīñ
sab ko khā kar āsmāñ baaqī rahā
miT ga.e ban ban ke kyā qasr o mahal
naam ko ik lā-makāñ baaqī rahā
aarzū hī aarzū meñ miT ga.e
aur shauq-e-āstāñ baaqī rahā
aish o ishrat chal base dil se 'zahīr'
dard o ġham bahr-e-nishāñ baaqī rahā
Top Urdushayar.com