dil ko dār-us-surūr kahte haiñ
jalva-gāh-e-huzūr kahte haiñ
na kaheñ bā-vafā mujhe muñh se
haañ vo dil meñ zarūr kahte haiñ
vo mujhe aur kuchh kaheñ na kaheñ
shefta to zarūr kahte haiñ
ik ḳhudā.ī kahā kare qahhār
ham to us ko ġhafūr kahte haiñ
pī ke dekhī bhī hazrat-e-vā.iz
aap jis ko tuhūr kahte haiñ