jalva-gar sochoñ meñ haiñ kuchh āgahī ke āftāb
raushnī se likh rahā huuñ zindagānī kā nisāb
pattharoñ se kab talak bāñdhegī ummīd-e-vafā
zindagī dekhegī kab tak jāgtī āñkhoñ se ḳhvāb
kyā ḳhabar vo kaun haiñ roz-e-jazā ke muntazir
chashm-e-bīnā ke liye har roz hai roz-e-hisāb
ḳhaak zinda gar kare husn-e-azal kī aarzū
darmiyāñ rahtā nahīñ phir koī bhī tār-e-hijāb
jānte haiñ vo husūl-e-māya kī har ik sabīl
hifz haiñ sajjādgāñ ko ḳhānqāhī ke nisāb
inqalāb-e-sub.h kī kuchh kam nahīñ ye bhī dalīl
pattharoñ ko de rahe haiñ aa.ine khul kar javāb