Ain Irfan

kya kisi baat ki saza hai mujhe

Ain Irfan

Khatauli, Uttar pradesh, India

1984
kyā kisī baat kī sazā hai mujhe
rāsta phir bulā rahā hai mujhe
zinda rahne kī mujh ko aadat hai
roz marne kā tajraba hai mujhe
itnā gum huuñ ke ab mirā saayā
mere andar bhī DhūñDtā hai mujhe
chāñd ko dekh kar yuuñ lagtā he
chāñd se koī dekhtā hai mujhe
pahle to justujū thī manzil kī
ab koī kaam dūsrā he mujhe
ye mirī niiñd kis maqām pe hai
ḳhvāb meñ ḳhvāb dikh rahā hai mujhe
aa.ine meñ chhupā huā chehra
aisā lagtā hai jāntā hai mujhe
Top Urdushayar.com