balā kī dhuup thī maiñ jal rahā thā
badan us kā thā aur saaya mirā thā
ḳharābe meñ thā ik aisā ḳharāba
jahāñ maiñ sab se chhup ke baiThtā thā
bahut nazdīk the tasvīr meñ ham
magar vo fāsla jo dikh rahā thā
jahāzī qāfila Duubā thā pahle
samundar ba.ad meñ uupar uThā thā
zamīn-o-āsmāñ sākit paḌe the
mire kamre kā pañkhā chal rahā thā
use bhī ishq kī aadat nahīñ thī
mirā bhī pahlā pahlā tajraba thā
mujhe jab tak talāshā raushnī ne
maiñ puurā tīrgī kā ho chukā thā