Ain Irfan

kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai

Ain Irfan

Khatauli, Uttar pradesh, India

1984
kabhī jo mil na sakī us ḳhushī kā hāsil hai
ye dard hī to mirī zindagī kā hāsil hai
maiñ apne aap se pīchhā nahīñ chhuḌā paayā
mirā vajūd mirī bebasī kā hāsil hai
ye tīrgī bhī kisī raushnī se niklī hai
ye raushnī bhī kisī tīrgī kā hāsil hai
hazār kāvisheñ kiiñ par nahīñ samajh paayā
koī batā.e to kyā aadmī kā hāsil hai
mirā vajūd jo patthar dikhā.ī detā hai
tamām umr kī shīshagarī kā hāsil hai
ma.āshre meñ jo mash.hūr ho gayā 'irfāñ'
vo ek sher tirī shā.irī kā hāsil hai
Top Urdushayar.com