ik parinda shāḳh par baiThā huā
hasratoñ se āsmāñ taktā huā
ik sadī kī dāstāñ kahtā huā
ik shajar dālān meñ sūkhā huā
ik zamīñ pairoñ talak simTī huī
ik samundar duur tak phailā huā
ik kahānī phir janam letī huī
ik fasāna dafn phir hotā huā
ik kiran aflāk se aatī huī
ik añdherā chāñd par baiThā huā
ik zamīñ do buuñd ko tarsī huī
ik nagar sailāb meñ Duubā huā
ek kashtī ġharq-e-ḳhūñ hotī huī
ik masīhā chhoḌ kar jaatā huā
ek chiḌiyā chahchaheñ kartī huī
ik shikārī taaq meñ baiThā huā
ik gilahrī peḌ par chaḌhtī huī
ik musavvir soch meñ Duubā huā
ik Dagar sū-e-falak jaatī huī
ik sitāra baam par utrā huā
ik ġhazal phir dastakeñ detī huī
ik tasavvur phir badan letā huā