Ain Irfan

qalb ki banjar zamin par KHwahishen bote hue

Ain Irfan

Khatauli, Uttar pradesh, India

1984

qalb banjar zamīñ par ḳhvāhisheñ bote hue

ḳhud ko aksar dekhtā huuñ ḳhvāb meñ rote hue

dasht-e-vīrāñ safar hai aur nazar ke sāmne

mo.ajaze dar mo.ajaze dar mo.ajaze hote hue

gāmzan haiñ ham musalsal ajnabī manzil or

zindagī aarzū meñ zindagī khote hue

kal mire ham-zād ne mujh se kiyā dilkash savāl

kis ko detā huuñ sadā.eñ raat bhar sote hue

ast hotā rahā hai ek sūraj us taraf

is taraf vo dikh rahā hai phir uday hote hue

Top Urdushayar.com