ik saaya mere jaisā hai
jo merā pīchhā kartā hai
ab shor se aajiz sannāTā
kānoñ meñ bāteñ kartā hai
ik moḌ hai raste ke aage
us moḌ ke aage rasta hai
maiñ ek Thikāna DhūñDtā huuñ
jo sahrā hai na hī dariyā hai
ik ḳhvāb kī vahshat hai jis meñ
ḳhud ko hī marte dekhā hai
ye qissa jhuuT sahī lekin
sunñe meñ achchhā lagtā hai